Masla Qabar par Azan dena
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀Masla Qabar par Azan dena🥀*
💠Musalman maiyat ko qabr main dafan ker k
azaan deina ahl-e-sunnat k nazdeek jaiz hai,
Es ki bohat sey dalail hain:
📗-Mishkaat shareef main hai,,
💠Apny murdoon ko sikhao ﮧﻟﺍﻻ ﻪﻠﻟﺍﻻﺍ "
📗(Mishkaat Shareef, Kitaab Al-Janaiz, Page:140)
📙(Sanan Abi Daood, V:2, Page:88)
💠Dunyawi zindagi khatam honey per insan k liay 2
khaternak waqt hain,
⌛ aik roh qabz honey ka...!
⌛dosra qabr main sawal jawab ka...!
💠👉Ager eman per khatma na hua tou duniya main jo kia sub zaya ho gaya...!
💠👉ager Qabr k imtehan main nakaam ho
gai tou tou aainda ki zindagi berbaad ho jai gi...!
💠Es liay zindon ko chahiyay k merny waly ki madad
karain aur merty waqt es ko kalima perh perh k
sunaian
💖👉jo kalima perh ker duniya sey jai ga wo
kamyab hoga....!
📇 fatawa Shami main hai:
"Dafan k baad talkeen
kerny sey mana nahi kerna chahiyay
kyun k es main koi nuksan tou hai nahi, bal k nafa he nafa
hai....!
📇(Fatawa Shami, V:1, Page:628)
💠jeisa k ahadees main aaya hai tou in ibaraton
sey maloom hota hai k dafnany k baad murdey
ko kalima-e-tayyaba ki talkeen kerna
MUSTAHAB hai,
📢Azaan main bhi kalima he hai,
es liay azaan bhi
talqeen-e-maiyat hai bal k
MUSTAHAB hai
kyun k azaan main mukammal
talkeen hai, kyun k qabr main 3 sawal hoty hain,
⌛pehla tera RUB kon......?
⌛dosa tera deen kya......?
⌛teesra yeh k Es Sunehri Jaali waly AAQA ko tu
kya kehta hai......?
💠 Azaan main in teeno ka jawab
hai, pehly ka jawab k main gawahi deita hon k
ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ aik hai,
💠 dosrey ka jawab bhi azaan
main hai, yaani mera deen wo hai jis main 5
namazain FARZ hain (siwai Islam k kisi bhi deen
main 5 namazain na theen),
💖teesrey ka jawab
hua Main gawahi deita hon k Muhammad ﯽﻠﺻ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ
ﻢﻠﺳﻭ ALLAH k Rasool
hain.
⌛Namaz k illawa bhi azaan deina baaz makamaat
per SUNNAT hai,
jeisy bachy ki peidaish k waqt,
mirgi waaly k kaan main, ghussa waly k kaan main,
lashkaroon ki jung k waqt, maiyat ko qabr
main utarty waqt....!
📗(Rad-ul-Mukhtar, Baab-al-Azaan, V:1,
Page:283)
💠Sahi Muslim shareef main mojood hai:"Jub
Namaz ki azaan hoti hai tou SHETAN gooz
lagata hua bhagta hai yahan tak k azaan nahi
sunta"
📚.(Sahi Muslim, V:1, Page:291,
Hadees:389)
💠Tou sabit hua k SHETAN azaan sun ker bhagta hai,
insan ki moat k waqt bhi SHETAN ki yeh
koshish hoti hai k kisi terhaan eska eman cheen lon,
💠 yahan tak k qabr k sawalon k bary main bhi
wuswasy dilata hai
k mujhy KHUDA keh ta Qabar k imtehan main yeh fail ho jai. Tou jub
azaan sey SHETAN bhagta hai tou es sey achi
aur kya baat ho sakti hai k SHETAN ko qabr
main bhi azaan k zariyay bhagaya jai....!
💖Hadees-e-Pak main aata hai:
"Huzoor ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻ ﻢﻠﺳﻭ ﮧﯿﻠﻋ ney perha ﻥﺎﺤﺒﺳ ﮧﻠﻟﺍ , phir perha ﮧﻠﻟﺍ
ﺮﺒﮐﺍ , deegar hazraat ney bhi perha,
💠logon ney arz
ki aisa kyun kia, fermaya aik saleh bandey per
qabr tang ho gai thi, ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ ney eski berkat
sey qabr ko kushada ker dia"
.
📚Musnid Imam Ahmed Bin Hunbal, V:3,
Page:360)
💖Es Hadees ki sharah main Allama Taibi fermaty
hain:
"Hum loog tasbeeh-o-takbeer kehty rehty
hain, yahan tak ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ qabr ko kushada
ferma deita hai....!
📗(Merkaat Al-Mafateeh, V:1, Page:211)
📢tou azaan main bhi zikr hai aur zikr kerny sey
rehmat ka nazool hota hai ..!
💠👉aur maiyat ko rehmat
ki bohat zaroorat hoti hai.
Es k illawa baat yeh hai k na he ahl-e-sunnat es
aml ko FARZ kehty han na he WAJIB, yeh aik
MUSTAHAB aml hai,
💖 Mustahab aml wo hota
hai jissy Huzoor ﯽﻠﺻ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﻢﻠﺳﻭ ney kabhi kia aur
kabhi nahi kia, aur wo bhi MUSTAHAB aml hai
jisko guzishta musalman acha janty hain
📙.(Rad-ul-Mukhtar, V:1, page:92)
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment